Kabhi Khwab Zindgi Ka Sarmaya Bantay hain,
Aur Kabhi!
Umeedon, Esaasaat Aur Zamaanay Ki
Farsoosda Rasmon ki Dehleez pe
Dam Tor Detay Hain..!!
Khwaabon ko Tabeer talk Pohnchaane k liye,
Khud Se Bhi Uljhna Parta Hai!!
Aur! Waqt Ki wehshi Pulsraaton se bhi
Guzrna Prta hai!!
Aur Aisy hi Khwab Paaya e Takmeel
Tak Pohnchtey Hain!!
Mgr!
Kuchh Tootay Khwaabon k Sard wajood ka
Bojh Uthaaye,
Aankhon ki Kashti ko aansuon ki Jheel se lekr,
Zakhmi Roohon k Sehraa B paar krna Prte hain,
Khwaab to Apne Khayaalon ki Janat ki Apsraa
Jaisy Hotay Hain,
Aatay Hain, Zara Behlaatay Hain,
Phr Kaheen door Asmaan k Jhil Mil
Sitaaron main Kho Jaatay Hain!!
Khwab Rulaatay Hian, Hansaatay Hian,
Khwab Kitna Sataatay Hain...!!
Kia Khwaab B Tumhaare Hain....!!!!!!
*Mukesh Meghwar*
No comments:
Post a Comment